Kiran Bedi’s & Arvind Kejriwal’s response to today’s Parliamentary Proceedings
Kiran Ji's response:
What has been said by Team Anna is all in public domain. And is not becoming known for the first time. Its all been reported by media time to time. its all on the net.
And being accessed world wide.
All this is part of films in India too.
In fact the question before our politicians and bureaucrats is why this state of affairs at all.
Why have we come this far?
I wish some one in the Parliament had called a special session for reflection to take into account people's perception which has been aired with evidence.
Shooting the messenger is not the solution. Addressing the message is--with all the seriousness it deserves. .
This is the need of the hour. People are looking for clean and honest political class.
If they were serious they could have brought in electoral, police, judicial and Adm reforms by now, besides an effective lokpal.
Have they? Kiran.
Time media too understands and airs people's angst as it is.
Some are doing but more needs to be done.
Arvind Kejriwal's response:
1) Hum sansad ki respect karte hai. Aaj kuch log jo sansad me baithe hai unko leke hume chinta hai. Sansad me aise bhi saansad hai jo ache hai par kuch ke khilaf aapradik mamle chal rahe hai. 162 logo par aapradhik mamle chal rahe hai jaise attempt to murder, murder, corruption etc. Ye chinta ka vishay hai. in logo ke rehte hum kaise umeed kar sakte hai ki vo ek sakt kanoon banaege jo unke sathi saansad ko jail bhijva sakta hai?
2) Hume fast track court banane ki zaroorat hai jo 6 mahine me saare cases inke khilaf jaanch kare aur apne nirneye sunaye. Ya inhe doshi karaar de ya innocent ghoshit kare.
3) Vo kehte hai ki humne sansad ka apmaan kiya hai. Kya un partiyo ne sansad ka apmaan nahi kiye jinhone inhe ticket diya? Kya jab ye log sansad me Bill fadte hai (raajneeti prasaad) tab kya sansad ka apmaan nahi hota? Jab chairs fakte hai tab apmaan nahi hota? Sansad ek pavitra mandir hai aur agar is mandir me geeta fade to kya vo apmaan nahi hai sansad jaise mandir ka? Saansado ke khareed farok karte hai to tab kya sansad ka apmaan nahi hota? Jis sanvidhaan ne unhe kanoon banane ka adhikaar diya usi Sanvidhaan ne hume protest karne ka bhi adhikaar diya hai.
4) Jab ek film Paan SIngh Tomar me hero bolta hai sansad me to daku baithe hai to saari janta taliya bajati hai. Kya ye chinta ka vishay nahi hai? Ye zaada ahem mudda hai. Hume dand dene se kya ye mudda theek ho jayega? kya isse chairs todna ya bill fadna band ho jayega? Team Anna ko target karne se kuch nahi hoga. Hum jo bhi consequences ho usko face karne ke liye tayyar hai. Par humne kuch galat nahi bola. Ye aroup to CAG ke, High Courts vagera se bhi sabit huye hai.
5) Sharad Pawar ko ek thapad mara (halaki hum iska samartan nahi karte) tab sansad ne ispe ghanto charcha ki. Jab ek imaandaar IPS officer Narendra ki hatya hui to kisine ispe charcha nahi ki.
6) Hum Gen VK Singh ki bahut izzat karte hai. Unhone bahut corruption ke khilaaf ladai ladi. Shayad isliye unko target kiya ja raha hai. Sarkaar ne Lokpal se Army ko alag rakha hai. Agar ye case CBI jaanch bhi karti hai to result to pre decided hai kyunki CBI sarkaar ke adhin hai. Hum isliye isko alag karne ki maang kar rahe the. CBI investigation would just be an eyewash.
- Team India Against Corruption
Nagpur
No comments:
Post a Comment